BISP Online Payment Result Check 

Jo log Benazir income support program me registered hain onky liye achi khabar hai ke wo log apni ahliyat online apny cnic kay zarye ya online sms kay zarye check kar sakty hain. 


Benazir income support program kay tehat jadeed advance sholiyat fraham ke gai hain. Q ke is se phly logo ko bht se dushwario ka samna karna parta tha jis ke liye logo ko Benazir income support program kay office kay chakar lgana party thy. Or such to ye hai onka kam waha jany kay bawajood mukmal nhi ho pata tha. 



Ab benazir income support program ke tmam malomat sms ky Zarya sarfeen ko de jain gi ya saholiyat Bitel kay zarye de jain gi. 

Check Benazir Income Support Program Eligibility 

Ab apka sawal hoga ke hum is service ko istmal krty howe ya kaise pata laga skty hain ke hum Benazir program me ahal hai ya nhi? is article me complete eligibility check procedure btaya gaya hai. Isky elawa agar ap abhi tak Benazir income support program Ya benazir kafalat program me registed nahi hai to oski bhi tmam tar malomat asan alfaz me btai gai hain. 


Benazir income support program ki registration ko check krny ke liye sub se pehly apko Benazir support program ki official website par chaly jana hai. waha par ap me eligibility check button par click krna hai. Osk bad ap ne apni mukmal maloomat deni hai apna contact number dena hai is process ke tehat ap ahliyat ko check kar skty hai. 


BISP PAYMENT CHECK BY SMS


Benazir income support payment check krny kay liye sms ki saholat ko bhi istmal kar skty hain. Is process ko follow krny ke liye ap ne apny CNIC par Registered Phone Number se 8171 par sms type krna hai or apna cnic number 8171 par send kr dena hai.  Osk bad apko tmam malomat apk phone par sms kay Zarya bta de jain gi. Ke ap Benazir program me ahal hain ya nahi. Agar ap ahal hain to kitni payment apko de jai gi. 





Conclusion 


Is article ka main maqsad apko ya smjhana tha ke ap apni eligibility ko check kar skain or hum ne eligibility check krny ki malomat apko oper tafseel se bta de hai. Jis me hum ne apko btaya ke ap kaise apni raqam ki ahliyat ko check krian gy or kitni payment apko mily gi.